Sunday, December 23, 2012

Aakhir kon hai langda...... wo.......ya main


Ek langde ne mujhse pooncha….
Kya main langda hoon…..
Main chouka……
Ek lagde ke muh pe kaise kahoon … ki wo langda hai….
Or usi hadbadahat main mere muh se nikla….
Nahi nahi…. Essa kyo sochte ho… tum to ekdum normal ho….
Wo jor se hansa…. Or kud se kuch batain karte waha se chala gaya….

Doosre din wo phir mil gaya raste par…
Kya main langda hoon
Meri samajh main kuch nahi aaya…..
Phir maine use normen Vincent pele or shiv kheda type ke kuch gyan de dale….
Wo phir hansa….or khud se kuch batain karte huye waha se chala gaya….

Ab roj ka yahi silsila tha…
Wo roz mujhe milta…. Or main roz kuch na kuch aachcha sa motivation dekar waha se nikal leta…
Mujhe har baar laga….. wo apni is kamjori ko lekar kud ko bahut kamtar mahsoos karta hai….
Or yakken nahi kar paata ki uska ek pair nahi hai…… shayad isliye baar baar logo se poonchta hai….
“ kya main langda hoon”
Lagta hai… wo langde ke sath sath pagal bhi hai……. Poor guy…….

Aaj main ghar se sochkar nikala tha…..
Agar aaj wo mujhe phir se mila to….. main saf saf kah doonga…. Ki bhai tu langda hai…. Tujhe dikhai nahi deta kya…. Kyo baar baar logo se apni kismet par rote hoo….
Jo hai use face karo…. Ye kya rona laga rakka hai….

Or wo mila….
maine ek sans main wo sab kah diya jo sochkar aaya tha……
yakayak uski aankhon main ek chamak aa gaye…..
muskurate huye bola…….

Are saab….. ye to mujhe hamesha se pata hai ki main langda hoon….. main to ye ponchna chahta tha ki ye jaipur foot kaha milla hai….. par aap log meri poori baat sunne ke pahle hi itna bada or itna meetha jhot bol dete ho…. Ki na to main apni hansi rok pata hoon…… or na hi aage ki baat bol pata hoon……

Main kud ko bechara mahsoos karu na karu…..
Aap jhot bol kar har baar bata hi dete ho ki aapko mujh par kitni daya aa rahi hai….
Are bhai….. sach bolo…… or agar pata hai… to batao ki jaipur foot kaha milta hai…… or agar nahi pata…. To phir sach bolo…..ki nahi pata…….
Nakli jindgi kud jite ho……….
Or pagal mujhe kahte ho………
Main bhochakka rah gaya…..
Kuch samaj main nahi aaya ki kya kahoon….
Bas uske chehre ko dekhe jar aha tha….
Itne main langda haste huye bola……
Are muh to band karo uncle……
Or pata ho to ye batao……
Ki…….


Ye jaipur foot kaha milta hai……..

Main bina kuch bole sirf ek unsuljha sawal lekar waha se chala aaya………….
Ki aakhir….. kon LANGDA hai…….. wo ya main…….

No comments:

Post a Comment